Dosto agar aapke wordpress me kuuch error aata hai kisi plugin ki wajh se to aap apne wordpress me login nahi kar paate ho, jise ki aap hide login plugin use kar rahe ho or aap hidelogin ka code word bhull jate ho to waise me aap wordpress pe login nahi kar paate ho to uss situation me aapko hide login plugin ko delete karna hota hai jiske liye aapko apne hostinger account par jana hoga or phir aap waha se uss plugin ko delete kar paaoge.
To dosto chlaiye abb ham aapko batate hai kaise aap apne kisi bhi wordpress me install plugin ko dlete kar sakte ho.
1. Sab se pehle to aapko apne hosting me login kar lena hai, aapko niche diye gay images ko bhi follow karna hai jisse aapko samjhne me aasahni hogi, login karne ke baad aapko aapke domain ke samne ik Manage Button show hoga aapko uss par click karna hai.
2. Manage par click karne ke baad ik next page open hoga aapko waha par niche ki tarf scroll kar ke jana hai to aapko ik file ka option milega aapko uss par click karna hai.
3. Jab aap files par click karoge to aapko ik file show hoga “public html” to aapko uss file ko open kar lena hai us par click kar ke.
4. Abb aapke saamne bohhot saari folders show hogi to aapko wp-content wale folder ko open kar lena hai.
5. Wp-content ko open karne ke baad aapko kucch or files how honge to aapko theme wale file ko open kar lena hai.
6. Abb yaha par aapki saari plugins show hongi jo bhi plugin aapne install kar rakhi hogi, to aapko abb yaha par jo bhi plugin ko unistall karna hai uske fie ko open karna hai, jaise hame hide login-plugin ko unistall karna hai to hamne use select kar liya,aapko bhi usi tarh se kar lena hai.
7. Phir aapko waha par unistall ka option aapko show hoga to aapko uss option par click kar ke us plugin ko uninstall kar dena hai, unistall karne ke baad aap uss plugin ko permanent bhi delete kar sakte ho aapko waha par option mill jayga.
To dosto issi tarh se aap pane wordpress account ke kisi bhi plugin ko unistall/delete kar sakte ho.
Conclusion
Dosto aaj ke iss article me hamne aapko bataya kaise aap apne hostinger account se hi wordpres ke plugins ko delete kar sakte ho.