IONOS Panel Se WordPress Plugin Ko Uninstall/Delete Kaise Kare

Agar aap IONOS ka hosting use karte ho or aapke wordpress me kisi plugin ke wajh se kuuch error aata hai to aapko apne IONOS dashboard se uss problem ko fix karna hota hai jiske liye aapko uss plugin ko unistall karna hota ya delete karna hota hai, ya phiur aapke wordpress dashboard se koi plugin unistall nahi hota to aapko apne IONOS dashboard se hi karna hota hai, to aaj ke iss article me ham aapko bataynge ki kaise aap IONOS ke dashboard me jake apne wordpress plugin ko unistall karoge to isliye iss post ko last tak padhana .

Lekin usse pehle ham jaan lete hai ki plugins me error kyu aate hai, or aapko kya karna chahiye jisse aapke kisi plugin me kisi tarh ka error nahi aay.

Plugins Me Error Kyu Aate Hai?

Jaise ki aap wp hide login plugin use kar rahe ho or aapne wordpress login ka key usme aapne set kar ke rakha hai or aapka wordpress account aapke pc/laptop se logout ho gaya ho or aap wo key bhull jate ho aise me aap wordpress account pe bina key ke login nahi kar skate or koi aapko option bhi nahi milta tab aapko apne hosting se uss plugin ko delete ya edit karna hota hai tab jake aap direct login kar paate hai aise hi aap bohhot sa plugin use karte ho, kisi me kisi tarh ki error aa jaay or wordpress se wo fix na ho direct aap plugin file me jakar ke use fix kar skate ho.

IONOS Se Plugin Ko Unistall Kaise Kare?

Sab se pehle aapko apne IONOS account me login kar lena hai phiur aapko menu par click karna hai uske baad aapko hosting wale option par click karna hai.

Phiur use web space wale option par click karna hai uske baad files open honge.

Abb aapko apne doamin name wale file par click kar ke use open karna hai jo ki clickandbuilds file ke under hoga apne file ko open karne ke baad aapko bohhot shari files show hongi aapko unme se wo content wali file ko open karna hai.

Phiur bohhot shari files show hongi to aapko unme se plugin wale file ko open karna hai, abb aapke wordpress pe jitne bhi plugin honge shaare yaha par show honge aapko abb jo bhi plugin ko unistall ya delete karna hai uske samne diye gay setting ke logo par click kar ke kar dena hai delete ka option setting par click karne ke baad aapko mill jayga.

Or agar aapko plugin me kuuch files ko fix karna ho to plugin file ko open kar ke kar sate ho.

Conclusion

Aaj ke iss article me hamne aapko batya kaise aap IONOS me plugin ko delete kar sakte ho direct hosting se.

Agar aapko kuuch problem aati hai to hame comment kar ke jarur batay ham aapke problem ka solution jarur denge.

Dhanyawad.

 

Leave a Comment