Agar aapki website ki speed slow hoti ya phiur or bhi kai karno se aap apne doamin ko cloud flare par shift ka chahte ho lekin aapko sahi se pata nahi hota , cloud flare ka nameserver hostinger ke domain me kaise dale.
Iss article me ham aapko pure deatil me aapko bataynge, isliye article ko last tak padhiyega.
Sabse pehle ham aapko cloud flare se juri jankari de de.
Cloudfalre Use Karene Ke Kya Fayde Hai?
Agar aapka .com domain hai or aapki post har ik country me dekhi ja sakti hai to aapko jarur cloudfalre ka use karna chahiye kyu ki cloudfalre aapka jo bhi data hota hai wo har ik country ke alag alag server me store rakhata hai jisse aapki site ki speed kafi jayda badha jaati hai or aapka post bohhot jaldi show hota, aapko to pata hi hoga aapki site jitni fast hogi utni jayda aapki post rank hogi, jaise ki aapka post jis keyword oar rank hai wo us me search huaa lekin aapka server india ka hoga to waha pe load hone me jayda time lag jayga or dusre ka post aa jayga, lekin aap cloudfalre ka use karte ho to aapka ik store us me bhi ban jayga jisse kuuch hi second me aapka post load ho jayga.
Or agar aap cloudfalre ka use karte ho to aapka site bhi puri tarh se secure ho jata cloudfalre aapko free me site protection de deti hai.
Or agar aapne apne site ke liye SSL Purchase nahi kiya to aap cloudfalre ka use kar ke free me 15 years ke liye SSL le sakte ho.
Cloud Flare Ka Nameserver Hostinger Ke Domain Me Kaise Add Kare?
Aapko apne hostinger account me login karna hai phiur aapko domains wale option me jana hai waha par aapko nameserver show honge wahi par niche me change ka option aapko mil jata hai aapko uss par click karna hai phiur next page open hoga.
Next page open hone ke baad jo pehle se nameserver add rahega wo show hoga to aapko use remove kar ke cloud flare se copy kiye name server ko add kar dena hai, or phiur use save kar dena hai.
Conclusion
Aaj ke iss article me hamne aapko batya ki kaise aap cloudfalre ka name server apne hostinger ke domain kaise add karoge.
Agar aapko name server add karne me kisi tarh ki problem aati hai to comment kar ke jarur batay, ham aapke problem ka solution jarur bataynge.