Domain ka Subdomain kaise banaye?

Agar aapki ik website hai or uska hosting aapne hostinger se liya hai or aap apne domain ka subdomain banana chahte ho to aaj ka ye article aaplogo ke liye hai, isliye article ko last tak padhe

Subdomain kya hai?

Subdomain ik 2nd level domain hai, jaise ki agar aap ki ik site hai jispe aap tech se related post daalte ho or aap alag se ik movies download ki website banana chahte ho to aap subdomain create kar ke kar sakte ho aapko alag se dusri domain purchase karne ki jarurat nahi paregi aap free me subdomain bana loge.

Domain or Subdomain Me Kya Antar Hai?

Domain aapk 1st level ka domain hota hai agar aapka ik domain ban chuka hai to dusra usi name se nahi banega, aap ik domain se ik hi site chala sakte hai, lekin wahi aap agar apne main domain ka use kar ke subdomain create karte ho to aap 100 site bana sakte ho, isliye ham subdomain ko 2nd level ka domain bhi kehte hai kyu ki iss ke last me aapka main domain ka name add ho jata hai.

Jaise ki aapki main domain hai example.con to agar aap movies ki site ke liye subdomain banana chahte ho to uska name ho jayga movies.example.com.

Domain ka Subdomain kaise banaye?

Sabse pehle to aapne jis bhi company ki hosting lo hai usme aapko login karna hai phiur aapko domains wale option par click karna hai uske baad aapko subdomain ka option dhundh lena hai phiur uspe click karna hai click karne ke baad ik dusra page open hoga waha par aapko create Subdomain ka option milega.

Aapko jo bhi apne subdomain ka name dena ho wo type kar lena hai phiur niche me password ka option milega to waha par aapko new password daal dena hai or create Subdomain par click kar dena hai.

Phiur next page ope hoga waha par aapko database create kar dena hai or username password set kar dena hai jisse aapko login karne me kisi tarh ki problem na aay.

Conclusion

To dosto aaj ke iss article me hamne aapko bataya kaise aap apne main domain ka Subdomain bana sakte ho.

Agara aapko article se related kisi tarh ki problem aay to comment box me jarur batay.

Dhanyawad.

 

Leave a Comment